Saturday, February 14, 2009

Valentine Day Special

This poem I had written at College for Kavi Sammelan, I thought I can mention it here on our very own "HAPPY VALENTINE DAY"

Mile Dwivedi jee kal parson, Bole bhaiya Kavya Sandhya karvaanee hai,
Kuchh roj baad hee eliminations hain, koi Bumper kavita likhkar laanee hai,

Humne kaha dwivedi jee, Kavita to kavi kee baanee hai,
Vaise hee aatankavaad ka jor prachanda hai, kyon Bum(Bomb) par kavita likhvaanee hai,

Dwivedi jee bole vaah, Baat to tumharee badee pyaaree hai
par shabdon ko jara sambhaalna, Allahabad mein mahaul thoda bharee hai,

PremDivas( Valentine day) kee poorva sandhya par, Humne kavita ka sriganesha karne kee thaanee
Bhai proposal accepted to romantic, nahee to tragic kavita to hai hee ban jaanee,

Ab to Dil ka internet GOOGLE search par laga pada tha
Dasiyon baar college ke chakkar par bhee NO RESULT FOUND ka board laga tha

Kuchh din to fir hum bhaiya khoye khoye rahte the
Ghanton tak UPTRON(a place beside MNNIT) par, Jaisingh kee kursee par baithe rahte the

Fir Socha kyon naa kuchh nayee takneek apnaayee jaaye,
Bhai, Hi-Tech ka jamaana haim ORKUT par jugat lagayee jaaye,

To lage haath humne bhee, invitation accept kar hee daala,
Par haath laga kya khaak, Bhaiya Dwivedi jee ne barbaad kar daala,

Ghanto tak surfing karne par bhee, 17 kee friend list mein 17 hee ladke the
Socha chalo kuchh tips milengee, par is field mein saare kadke the

Par Vah din tha kuchh khaas, pooree huyee jab meree aas,
Mere mailbox mein bhee ek ladkee ka mail aaya,
Bhaiya Fir to humne bhee 2-3 mail kar hee daale,
Reply nahee mila to bhee apna, ghar ka, saare phone no de daale,

Man hee man hum khush ho gaye, Bhaiya ab to hum bhee flirt karenge,
Bahut din huye doosron ko dekh, Ab apbne bhee din firenge,
Chatting ke ab session honge, naye naye sensation honge,
Phone par raat to dheere dheere baat hogee, kuchh dinon mein mulaakaat hogee

Usee din raaste mein Dwivedi jee mile, bole bhaiya kavita ka kya hua,
Humne kahan Dwivedi jee, Aapne to humaaree jindagee kee kavita bana dee,
Dwivedi jee achraj se, hairaan se Humein dekhte rah gaye,
Soch rahe the shayad vo yah, ye mohit bhai abhee kya kah gaye,

Par kuchh din baad ek mitra humaare muskaate huye humaare pas aaye,
Bole bhaiya kuchh badal rahe ho, kuchh to hua hai,
Humne unhein bade garva se apnee PremGatha sunayee, to Muskaye, aur fir muskaaye,
Fir saath humaare apne computer par, Humein hamaare saare love letter dikhaye

Bole bhaiya, Hum to yoon hee majaak kar rahe the, Aapka aur apna time paas kar rahe the
Vaise humne jo ladkee ka naam rakha tha, vo bahut hee pyaara tha
Sach batao meree kasam, kya usee naam se aapko maara tha

Mai kya karta bechaara, Uskee baat par muskura raha tha
par maathe ka paseena dil kee vyatha bataa raha tha

Agle din Dwivedi jee, Humein Raaste mein Yoon hee mil gaye,
Humse Bole Bhaiya Mohit, Kavita ke kya haalchaal hain
Humne Dwivedi jee ko ghoora, kaha Dwivedi jee kavita ko barbaad kar diya aapne,
Ab Hum Chaahe local cinema haal mein Mithun kee picture dekhne jaayenge, par hum aapkee kavya sandhya mein kabhee nahee aayenge,

Hum aapkee kavya sandhya mein kabhee nahee aayenge

3 comments:

Unknown said...

Thats a real good one. Put a smile on my face. I hope you can come up with some more of such stuff.

Maverick said...

it is a very good poem sir....put a smile on my face too

mohit said...

Thanks Naveen and Siddhartha for your nice comments.
I am happy that you liked the poem. :-)